Dil aaj kuch udaas hai,
Najaane kya baat hai,
Shayad kisi ke intezaar mein,
Ho raha ye Nirash hai
Kyu essa hota hai,
Nadaniyo mein kyu ke khota hai,
Kitna bhi samjhao isse,
Phir unhi raho ki aur rukh modta hai
Aaj phir woh dard utha,
Jiski na mujhe talaash thi,
Par kehna nahi manta ye kambakht,
Ye dard shayad umeed ka ek ehsaas hai
Ab apne bas mein toh kuch nahi,
Karne deta hu isse mannmani,
Asha hai ye sambhalega,
Meri iss udaasi ko ye samjhega…
-Self
LOVELY 🙂